Betiyan...





Ek aurat garbh se thi, pati ko jab pataa
chala ki kokh mein beti hai to woh
uska garbhpaat karwana chaahte hain.

Dukhi hokar patni apne pati se kya
kehti hai:-

Suno,
Na maaro is nanhi kali ko,
Woh khoob saara pyaar hum par
lutaayegi,
Jitne bhi toote hain sapne, phir se woh
sab sajaayegi.

Suno,

Na maaro is nanhi kali ko,
Jab jab ghar aaoge tumhein khoob
hansaayegi,
Tum pyaar na karna beshak usko,
Woh apna pyaar lutaayegi.

Suno,

Na maaro is nanhi kali ko,
Har kaam ki chinta ek pal mein
bhagaayegi,
Kismat ko dosh na do, woh apna ghar
aangan mehkaayegi.

Yeh sab sun pati apni patni se kehta
hai:-

Suno main bhi nahi maarna chaahta is
nanhi kali ko,
Tum kya jaano pyaar nahi hai kya
mujhko apni pari se,
Par darta hoon samaaj mein ho rahi
roz roz ki darindagi se
Kya phir khud woh in sabse apni laaj
bacha paayegi,

Kyun na maarun main is kali ko,
Woh baahar nochi jaayegi,
Main pyaar ise khoob doonga,
Par baahar kis kis se bachaaunga.
Jab uthegi har taraf se nazrein,

To khud ko rok na paaunga,

Kya tum apni nanhi pari ko is daur
mein lana chahogi,

Jab tadpegi woh nazron ke aage
Kya woh sab seh paaogi
Kyon na maarun main apni nanhi pari
ko,
Kya beeti hogi unpe jinhein mila hai
aisa nazrana
Kya tum bhi apni pari ko aisi maut
dilana chaahogi.

Yeh sun kar garbh se aawaz aati hai:-

Suno maa papa-

Main aapki beti hoon, meri bhi suno:-
Papa suno na, saath dena aap mera,
Majboot banana mere hausle ko,
Ghar Laxmi hai aapki beti,
Waqt padne par main bhi kaali ban
jaaungi.

Papa suno,

Na maaro apni nanhi kali ko
Tum udaan dena mere har wajood ko
Main bhi Kalpana Chawla ki tarah
oonchi udaan bhar jaaungi.

Papa suno:-

Na maaro apni nanhi kali ko
Aap ban jaana meri chhatra-chhaya
Main Jhansi ki Rani ki tarah khud ki
gairon se laaj bachaaungi

Pati (Pita) yeh sun kar

Maun ho gaya aur apne faisle par
sharmindagi mehsoos karne laga aur

kehta hai apni beti se:-
Main ab kaise tumse nazrein
milaaunga,
Chal pada tha tera gala dabaane,
Ab kaise khud ko tere saamne
laaunga,
Mujhe maaf karna meri beti,
Tujhe is duniya mein main samman se
laaunga.

Vehshi hai yeh duniya to kya hua,
Tujhe main duniya ki sabse bahaadur
beti banaaunga.

Meri is galti ki mujhe hai sharm,
Ghar ghar jaa kar sabka bhram
mitaaunga,

Betiyan bojh nahi hoti
Ab saare samaaj mein alakh
jagaaunga…….


Comments

Post a Comment

Thanks For Your Review :)

Popular Posts