ek masoom si ladki thi…….
Ek pyaar se bhara dil tha jiske armaano ko palko par sajaya karti thi…… ek masoom si ladki thi……. mohabbat ke khwaab dekha karti thi…….. Ek chehra banakar khayalon mein phir us chehre ko bheed mein dhoonda karti thi…. kaisi paagal ladki thi ek khayal ko dhunda karti thi…….. Aksar banati ret ke mehal saahilon par phir un mehalon mein ghar apna basaya karti thi……. kaisi naadan ladki thi…… saahil ki mitti se ghar banaya karti thi…….. Kai baar dekha use phulon se baatein karte kuch keh kar unke kaano mein khud hi sharmaaya karti thi.. kaisi ek ladki thi… phulon se bhi sharmaaya karti thi….. Likh kar hatheli par koi naam hamesha phir us naam ko mitaya karti thi shayad naasamajh hi thi dil par likha tha jo, use haathon se mitaya karti thi……… Jaane kahan kho gayi wo abto aksar aaine mein dhunda karti hun…… wo ladki jo aaina dekh bewajaah muskuraya karti thi….. banakar ajeeb se chehre sabko hasaya karti thi…….. badi ajeeb ladki thi…….. har kisi ko sataya kart...